Hath Mera Ae Meri Parachaai Tuu He Thaam Le

Hath Mera Ae Meri Parachaai Tuu He Thaam Le
Ek Muddat Se Mujhe Tou Sujhtaa Kuch Bhi Nahin

Shahar.e.shab Mein Koun Sa Ghar Thaa Na Di Jis Par Sadaa
Neend Ke Andhe Musaafir Ko Mila Kuch Bhi Nahin

Umar Bhar Umr.e.Gurezaan Se Na Meri Ban Saki
Jo Kare, Karti Rahe, Main Puchta Kuch Bhi Nahin

Wo Bhi Shaayad Ro Pare Veeraan Kaaghaz Dekh Kar
Main Ne Usko Aakhri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahin

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored