Is tarah berukhi se to dekha na keejiye
Is tarah berukhi se to dekha na keejiye Nazuk hai aina ise toda na keejiye Ham aor karenge tarke mohabbat ka faisla Lillah aisi baat to socha na keejiye Karwat badal badal ke guzaari hai saari raat itna kisi ke sabr se khela na keejiye kaabu men jab wo aaye to suniye na uski baat is haal men kaha hua uska na keejiye Dil ko bahare husne mulaaqaat chahiye usko sunehre khwaab dikhaya na keejiye Naseh ko bhi dikhaiye raahe najate gham Bhule se uski raah pe jaaya na kijiye Ham jaante hain aap ka har range aarzu Hamse to dil ki baat chipaaya na keejiye Maana ki iltijaon se hum maan jayenge Isse to jaan pe banti hai rootha na keejiye Mumkin ye ho ki jisko wafa aap kar saken Aisa to hum se koi bhi waada na keejiye Sunte hain intizaar hamara karenge aap Halkaan khud ko aap khudaara na keejiye makhsoos jab nigaah ata ki Irfu ko ab chodiye hataiye parda na keejiye