Is tarah berukhi se to dekha na keejiye
Is tarah berukhi se to dekha na keejiye
Nazuk hai aina ise toda na keejiye
Ham aor karenge tarke mohabbat ka faisla
Lillah aisi baat to socha na keejiye
Karwat badal badal ke guzaari hai saari raat
itna kisi ke sabr se khela na keejiye
kaabu men jab wo aaye to suniye na uski baat
is haal men kaha hua uska na keejiye
Dil ko bahare husne mulaaqaat chahiye
usko sunehre khwaab dikhaya na keejiye
Naseh ko bhi dikhaiye raahe najate gham
Bhule se uski raah pe jaaya na kijiye
Ham jaante hain aap ka har range aarzu
Hamse to dil ki baat chipaaya na keejiye
Maana ki iltijaon se hum maan jayenge
Isse to jaan pe banti hai rootha na keejiye
Mumkin ye ho ki jisko wafa aap kar saken
Aisa to hum se koi bhi waada na keejiye
Sunte hain intizaar hamara karenge aap
Halkaan khud ko aap khudaara na keejiye
makhsoos jab nigaah ata ki Irfu ko
ab chodiye hataiye parda na keejiye
Comments
Post a Comment