Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai
Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai, Us husn-e-khud-pasand pe inkaar farz hai. Apni sifat pe aye lab-e-jaan-baksh naaz kar, Tujhper jo charasaziye beemar farz hai. Raushan hua isi se ye sara nizam-e-waqt, Suraj pe apne noor ka izhaar farz hai. Baate’n mohabbaton ki maza dengi Vasl mein, Is haal me to shokhiye guftaar farz hai. Takmeel-e-daastan-e-kharabiye dil to kar, Tujhper kayam-e-hashr dilaazaar farz hai. Jisne tujhe bahaar ka aaina kar diya, Tareef uski khoobiye gulzaar farz hai. Har simt usne jalwe bikhere hain dil-fareb, Ta’at shaoor-e-deedaye bedaar farz hai. Humne to saare farz wafa ke ada kiye, Kuch aap per bhi sochiye sarkaar farz hai. Uski nazar mein Kaaba-e-maqsood hai ‘Suhail’, Hum per nigah-e-yaar ka deedar farz hai.