Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai
Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai,
Us husn-e-khud-pasand pe inkaar farz hai.
Apni sifat pe aye lab-e-jaan-baksh naaz kar,
Tujhper jo charasaziye beemar farz hai.
Raushan hua isi se ye sara nizam-e-waqt,
Suraj pe apne noor ka izhaar farz hai.
Baate’n mohabbaton ki maza dengi Vasl mein,
Is haal me to shokhiye guftaar farz hai.
Takmeel-e-daastan-e-kharabiye dil to kar,
Tujhper kayam-e-hashr dilaazaar farz hai.
Jisne tujhe bahaar ka aaina kar diya,
Tareef uski khoobiye gulzaar farz hai.
Har simt usne jalwe bikhere hain dil-fareb,
Ta’at shaoor-e-deedaye bedaar farz hai.
Humne to saare farz wafa ke ada kiye,
Kuch aap per bhi sochiye sarkaar farz hai.
Uski nazar mein Kaaba-e-maqsood hai ‘Suhail’,
Hum per nigah-e-yaar ka deedar farz hai.
Comments
Post a Comment