Kabhi halaat ki gardish se ghabraaya nahin kartay
Kabhi halaat ki
gardish se ghabraaya nahin kartay
Hisaab-e-zindgaani
sab ko samjhaaya nahin kartay
Bohot be-chain
kar detay hain mustaqbil ke andeshay
Bohot se khaab
hain taabeer jo paaya nahin kartay
Kheyaalon ke
gulistaanon mein aati ha khizaa.n bar
Bohot se zakhm
hain aisay jo dikhlaaya nahin kartay
Rivaaj-o-rasm ki
bandish ujaalay cheen leti hai
Khalish dil mein
ho sab ko batlaaya nahin kartay
Koi dil mein ho
aur vo doosray ke dil ki dharkan ho
Muqaddar apna
apna hai sabhi paaya nahin kartay
Comments
Post a Comment