Ye husn tera ye ishq mera
Ye husn tera ye ishq mera
Rangeen to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi
Is raat ki nikhari rangat ko
Kuch aur nikhar jaane de zara
Nazaron ko bahak jaane de zara
Zulfon ko bikhar jaane de zara
Kuch der ki hi taskin sahi
Kuch der ka hi aaraam sahi
Jazbaat ki kaliyaan chun na hai
Aur pyaar ka tohfa dena hai
Logon ki nigaahein kuch bhi kahen
Logon se hume kya lena hai
Ye Khaas taalluq aapas ka
Duniya ki nazar mein aam sahi
Rusavaai ke Dar se ghabara kar
Hum tark-e-wafa kab karte hain
Jis dil ko basa len pahaloo mein
Us dil ko juda kab karte hain
Jo hashr hua hai laakhon ka
Apana bhi wahi anjaam sahi
Ye husn tera ye ishq mera
Rangeen to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi
Comments
Post a Comment