Aao... or na socho
Aao...
or na
socho.
soch ke
kia paao gey..
jitna
bhi samjhey ho.
itna hi
pachtaao gey.
Aao..
or na
socho..
tum
ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri
dekhi bhali hai.
jane
bhi do.
is ka
kab tak sogg manana..
yeh
dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch
ab jeene ka saman karen hum.
such ke
hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot
ke hathon.
woh
mushkil asaan karen hum.
tum
meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me
tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir
tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab
ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa
karne ki baten..
jeene
ki...
marne
ki baten..
hum
dono yun waqt guzaren.
.me
tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum
mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki
koi taabeer na ho.
jitne
din yeh mail rahe ga..
dekho
acha khel rahe ga.
or
kabhi dil bhar jaye to.
kehdena
tum..
beet
gaya milne ka mausam.
Aao.
or na
socho...
soch ke
kia pao gey...
Comments
Post a Comment