Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hua hai
haal yeh barish ki meherbaani se
Zamee'n
k zakham hare ho gaye hain paani se
Dhale
hain ashak shab e ghum barhi rawani se
Abhi
charagh jalaye hain humne paani se
Na kaam
aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh
badgumaa'n hi hua aur khushbayani se
Main
chahta hu'n tumhara bharam rahe qayam
Nikaal
do mere kirdaar ko kahani se
Mujhe
bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila
kamaal ye dushman ki meherbani se
Kisi se
kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuba'n
ka kaam liya maine be zubaani se
Abhi
zamee'n se nahi rabta mera SIDDIQ
Guzar
raha hoo'n abhi daur-e-asmaani se
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Comments
Post a Comment