Titliyon k mausam main
Titliyon
k mausam main
nochna
gulabon ka
reet
iss nagar ki hai
aur
janay kab se hai
sheher
k ye bashinde
nafraton
ko bo ker bhi
intazar
kerte hain
fasl ho
mohabbat ki
bhool
ker haqeeqat ko
dhoondna
sarabon ka
reet is
nagar ki hai
aur
jane kab se hai
abhi
tum naye ho na
isi
liye pereshan ho
aasman
ki jaanib
iss
tarha se mat dekho
aafatain
jab aani hoon
tootna
sitaroon ka
reet
iss nagar ki hai
aur
jane kab se hai
khamshi
mera sheva
guftagoo
hunar uss ka
meri
begunahi ko
loag
kese manain gay
baat
baat per jab k
maangna
hawalon ka
reet
iss nagar ki hai
aur
jane kab se hai
ajnabi
fizaoon main
ajnabi
musaafir se
apne
har ta'aluq ko
daayemi
samajh lena
aur jab
bichar jana...
mangna
duaaoon ka
reet is
nagar ki hai
aur
jane kab se hai
Comments
Post a Comment