Qurbat Bhi Nahi
Qurbat
Bhi Nahi, Dil Se Utar Bhi Nahi Jata,
Woh
Shakhs Koi Faisla Kar Bhi Nahi Jata,
Dil Ko
Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bohat Hai,
Aur
Tujh Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Nahi Jata,
Aankhein
Hain Ke Khali Nahi Rehti Hain Lahoo Se,
Aur
Zakhm-e-Judai Hai Ke Bhar Bhi Nahi Jata,
Woh
Rahat E Jaan Hai.. Magar Is Dar-Ba-Dari Mein,
Aisa
Hai Ke Ab Dhyaan Udhar Bhi Nahi Jata,
Hum
Dohri Aziyaat Ke Giraftaar Musafir,
Pao'n
Bhi Hain Shal.. Shoq-e-Safar Bhi Nahi Jata,
Pagal
Huwe Jate Ho FaRaZ.. Un Se Mile Kya;
Itni Si
Khushi Se Koi Mar Bhi Nahi Jata..♥ ♥
Comments
Post a Comment