Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Shaam
hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni palkon pay kai khwab sajati ho gi
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab matam ki tarah Khushi wo manati ho gi
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gi
Dil ki masoom raggin khud he sulagti hon gi
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gi
Roop day kar mujhay is mein shehzaday ka
Bachon ko kahani woh sunati ho gi
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gi
Ya meri tarah ashq bahati ho gi
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gi
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Mere matam ki sada arsh hilati ho gi…...!!!!!!
Comments
Post a Comment