Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main


Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main.
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,



Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Naya Is Ka.
Woh Ek Dariya K Jisko Chashm- e-Tar Kehta Raha Hoon Main,



Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye.
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,



Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre.
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,



Sila Ab Aur Kiya Maango "Qateel" Apni Ebadat ka.
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main.

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored