Aisa Banna Sawarna - MP3 - Jaana

Apne Chehre se Zulfe Ko Hathao Zara, Kyoun Garajte ho, Baras Jao Zara.......................

This is to say a song from the great grand master Nusrat Fateh Ali Khan, however putting it in my case I would feel that it started with lines as stated above, lines straight from my heart to my Jaana, however the lines above I feel were incomplete, now with this ghazal/song I feel are complete:

Ideally as this particular blog goes online, you should be enroute to your work ;-)

Zindagi Ki Aas ho tum, Jeene ki Aas ho tum, Dil ki dhadkan ho tum, Aas ho tum


Wo dil navaz hy nazar shanaas nahi
Mera ilaaj
mere chara'gar k paas nahi

Tarap rahy hain zabaN pr kaii saval mgr
Mere lye koi shayan-e-iltamas nahi

Tere ujalon me b dil kaaNp kaaNp uTh'ta hy
Mere mizaj ko aasodgi b raas nahi

Kabi kabi jo tere qarb me guzry thy
Ab un dino ka tasav'vur b mere paas nahi

Guzar rahy hain ajab marhalon se deeda-o-dil
Seher ki aas to hy
zindagi ki aas nahi

Mujhe ye Dar hy k teri arzo na miT jaye
Bohat dino se tabiyat meri udaas nahi



My dear love, I am sorry for the previously uploaded file (V1 Long) possibly had a jitter error, here is the new file all for you and guaranteed error free....

Listen (V1 Long):

Listen (V2 Short):


Like It, Download It, (V1 Long)

Like It, Download It, (V2 Short)


The Amazing Lyrics :



Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo

Aisa Banna Sawarna, Un Ka Banna Sawarna
Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Woh Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon Gay
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo

Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa'ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo

Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay, Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay, Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Andaaz Apne Daikhte Hein Aa'ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh Guzdeeda Nazar Say
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-KhamShuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao Rasta Lo... Tumhara Kuch Nahi
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat

Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo

Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja'ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo

Kaam Aa'ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo

Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored