Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar
Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar
Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar
Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar
Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga
Be waja har dukan se kharidaarian na kar
Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi
Wabasta har shajar se wafadaarian na kar
Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair
Apne hi doston ki taraf darian na kar
Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe
Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar
Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka
Phir dosri shikast ki tayyarian na kar
Comments
Post a Comment