Wo Badal Gya Par Dil Ko Yakeen Na Hua

Wo Badal Gya Par Dil Ko Yakeen Na Hua,
Wo Itni Dur Ho Gya Jitna Kbhi Mere Kareeb Na Hua,
Kya Khub Wafao Ka Sila Mila H ‘Kumar’ Tuzhe,
Is Tarah To Rutha Kbhi Tera Naseeb Na Hua…

Ye Fasana Nhi Dil-E-Dard Mand H,
Mera Har Gam Dil K Pinzare Me Band H,
Kya Krega ‘Kumar’ Zamane Bhar Ki Khushiyan,
Ek Bewafa Ki Yaad Me Use Rona Pasand H…

Tassavur Tera Jab Bhi Aata H,
Aankho Me Ashko Ka Sailaab Lata H,
Fir U Gujarta H Waqt Mera,
Na Dil Ko Krar Aata H, Na ‘Kumar’ Ko Aaram Aata H…

Meri Wafao Me Asar Nhi Tha,
Meri Duao Me Asar Nhi Tha,
Aaya Tha Tufan Fiza Me, Mera Tabaahi-E-Manzar Dekhne,
Mgar Gyi Nhi Khuda Tak ‘Kumar’ Unki Sadao Me Asar Nhi Tha…

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored