Aaye wo mere saamne aur deed hans pade
Aaye wo mere saamne aur deed hans pade
Mafhoom apna dekh ke tauhaaed hans pade
Ilmo adab pe bolna aasaan nahin magar
Wo bolte hain log ki tanqeed hand hans pade
Ab tak to sirf chand hua hai bahare husn
Ban aaftaab subha jaga eid hans pade
Baton men uski sirf mohabbat se hai gurez
Samjhe jo hum ki kya hai ye tamheed, hans pade
Mere suroore wasl se hai aasman pe kaif
Zohra kabhi hanse kabhi naheed hans pade
Tehraye rasme ishq ko jaiz wo yun Irfan
Uske har aik lufz pe taeed hans pade
All pictures Copyright ELF Photography
Comments
Post a Comment