Aisi lahrai teri zulfe dota aakhire shab
Aisi lahrai teri zulfe dota aakhire shab,
Sijda-e-shukr hawaon ne kiya aakhir-e-shab.
Husn us shokh ka iss darja badha aakhire shab,
Chand taron ne bhi dil thham liya aakhire shab.
Usne iss tarah mujhe mast kiya aakhire shab,
Jaame mai chheen liya tod diya aakhire shab.
Fir vo aaya rukhe tabinda pe anwaar liye
Thhak ke jab kaanp utha daste dua aakhire shab.
Aa gaya ab to bahut rang pe mausam ka mizaj
Tu bhi aye yaar koi fitna utha aakhire shab.
Fir hasin beete hua lamho’n ka ehsaas jaga,
Fir mujhe chhed meri neend uda aakhire shab.
Awwale shab to bahut short ha hangama tha,
Ab zara aai vahi narm sada aakhire shab.
Vahi suraj bana aalam ke liye waqte saher,
Vo jo shola mere pahlu se utha aakhire shab.
Aisa manzar tha ki duniya taho bala thi meri,
Hasil-e-deed thi vo laghzishe pa aakhire shab.
Muskuraya vo mujhe dekh ke is tarah “Irfan”
Aai kaliyon ke chatakne ki sada aakhire shab.
All Pictures Subject to Copyright of ELF Photography
Comments
Post a Comment