Ek bar fir aaj akeyla hoon main - By Bhoomi Pandey


Ek bar fir aaj akeyla hoon main..

Apne hi apno me ek anjan chehra hoon main..

Kuch halchal si rehti hai mann me aksar..

Aaj na jane kyun, kuch thehera hoon main..

Uthla-sa ye jeevan mera..

Kehta hai aaj kuch gehra hoon main..

Kabhi jo jataya maine apnapan unse..

Wo kehte hain unpar chhaya pehera hoon main..

Kaash!! ke fir laut aaye bachpan mera..

Kehta hai wo daur ke "Sunehera hoon main"..

Kya kuch paaya hai kabhi kisi ne yahan??

Aise hi kuch sawalaton ki khoj me fira hoon main..

Kehne ko to sath hain mere dost-o-habeeb yaron..

Fir bhi veeran registaan me tanha khada hoon main..

Khush-rangeeniyon me jane kaise beet-ti hai hayaat..

Aisa hi kuch kar guzarne ki chah me aaj phir chala hoon main..

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored