Jo usse kheench taan kabhi thi kahan hai ab
Jo usse kheench taan kabhi thi kahan hai ab
dil men ajab khalish hai jo wo mehraban hai ab
Irfaane zaat apna mujhe us ne de diya
Idrrak ki hadon pe yaqeenan ayan hai ab
wo muskara diye hain to kaliya chitak gain
charon taraf bahaar ka rangeen saman hai ab
Baarish hai rehmaton ki wo hai sarbasar wafa
dil bhi hawai khuld se jannat nishan hai ab
sakit fazain hoti thin jab bolta tha wo
kya aisa ho gaya ki wahi bezaban hai ab
sairaab mujhko karne lagi hai nigahe lutf
maujen subuk hain jiski wo dariya rawan hai ab
aaya wo usne ishq ke sab haq ada kiye
mere labon pe sirf yahi daastan hai ab
uski rifaqato ne bade gul khilaye hain
hum nazishe chaman hain ye humko guman hai ab
rahe wafa men aati hain aisi bhi manzilen
mere kamale shauq ka wo tarjuman hai ab
wo sholaru kahin hai use sochta hoon main
dil jal raha hai saari tamazat yahan hai ab
iske liye to lufz nahin hain main kya kahun
dushman tha jaan ka jo wahi pewaste jaan hai ab
wo gulsarisht ishq men betaab hai bahot
"saile bahaar aankhon se meri rawan hai ab"
usko dekh ke arman machal gaye
chehre pe uske koi iraada jawan hai ab
Comments
Post a Comment