Yahi hasrat chipi hai khwahishe deedaar ke peeche




Yahi hasrat chipi hai khwahishe deedaar ke peeche
Ki dekhen kaun hai rangeeniye  gulzaar ke peeche
Sitamgar bewafa hai dushmane dil hai jafaparwar
ye sab keh kar zamaana pad gaya hai yaar peeche
Qayamat chal rahi hai ye bhi kya dilchusp manzar hai
Nigaahe naaz tere fitnaye bedaar ke peeche.
jidhar dekho usi jalwe pe hungama hai janon ka

Faraze daar se aage faraze daar ke peeche
wahan jo saamne hai bus usi ki baaryaabi hai


Tadapti hai mohabbat husn ke darbaar ke peeche
Wahi paata hai manzil aur usi ki kamyabi hai,
Ki jo chalta hai apne sarwaro salaar ke peeche.
"Nahin" ki jalwafarmai se usko sab ne pehchana


Ki sau iqraar poshida hai ek inkaar ke peeche
Irfan uske hi qabze men hai usko dekh le koi


Jo rehta hai hamesha pardae asraar ke peeche

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored