Namuafiq hi raha sara zamana dil ka
Namuafiq hi raha sara zamana dil ka
Hum samajhte the ki asan hain lagana dil ka
De ke bal zulfon ko itrate phira karte hain
Unko aata hai bahot khoob phansana dil ka
Ungliyan khoon se tar hogayen likhte likhte
Namukammal hi raha phir bhi fasana dil ka
Koi apna jo kabhi bholta hai ahde wafa
Yaad kar lete hain pahlu se wo jaana dil ka
Nazo andaaz ki shabnam teri ankhon se giri
Teri chahat se khila hai gule rana dill ka
Raas aye hai hamen uski nigahon ki faza
Ban gaya ab to yahi aik thikaana dil ka
Ek zara saqiye maikhana karambaar hua
Qabile deed hai phir loot machana dil ka
Sara faulad pighal jaye ga daanai ka
Aatashe hijr se mushkil hai bachana dil ka
Shauq ka had se guzarna nahin acha hota
Toor-e-sina pe burahaal hua naa dil ka
Mere lufzon se nahin usko mohabbat ka yaqeen
Aur mumkin hi nahi saamne lana dil ka
Marhaba usne kaha jazbaye betaab ke saath
Aaiye aaiye mausam hai hai suhaana dil ka
Aaj ulfat ke ajab rang uchale usne
Ho gaya sara sukun aaj rawana dil ka
Jo bhi chahe wo kare Ishq Khuda hai yaron
Ho ke bedil hua wo sakhs diwana dil
Kin farebon men guzaari hai jawani humne
Wo sunehre wo hasin khwaab dikhana dil ka
Isse to aankh hui husn ki tasweer ki num
Rang wan bharne ko wo khoon bahana dilka
Dil ne kuch aisa naya kar diya wo haar gaya
Imtihaan usne liya tha wo purana dil
Chaliye ye bhi sahi ek teer ki barbaadi hai
Aye Irfan usne lagaya hai nishaana dil ka
Comments
Post a Comment