Wo milta hi nahin mujhse sambhal ke

Wo milta hi nahin mujhse sambhal ke
magar jadu hai aanchal tak na dhalke

Kahan tewar hain unme ab wo kal ke
hawa chalne lagi hai rukh badal ke

Judai ki ghadi hai dushmane dil
bala hai ye nahin talti hai tal ke

Ada unki maza deti hai humko
maza ata hai unko dil masal ke

Wajoode shamma ko khatra hua hai
ki khud aatash hua parwana jal ke

Paheli ban ke wo ojhal hua hai
kiye hain band dar sab usne hal ke

Wafa ke phool tab samjho khilenge
jo ayega koi kanton pe chal ke

Wo kar dete hain namumkin ko mumkin
meri aaghosh men aksar machal ke

Nazar ke teer nazuk hain tumhare
jabhi purlutf hain ye waar halke

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Anti-aging skin treatments: Skin care myths and truths

A Decade in Delhi NCR - Unexplored