Posts

Showing posts with the label Sher o Shayari

A Working Women

Image
She Waltzes Through Life.. Shadow lengthens not; yes, walking on a tight rope she waltzes through life She waltzes through life; sun, moon, stars, trees and flowers fail to catch her rhythm Fail to catch her rhythm; a wife and a mother too, she waltzes through life.. Dedicated to my wife and all the respectable ladies out there

Wo milta hi nahin mujhse sambhal ke

Wo milta hi nahin mujhse sambhal ke magar jadu hai aanchal tak na dhalke Kahan tewar hain unme ab wo kal ke hawa chalne lagi hai rukh badal ke Judai ki ghadi hai dushmane dil bala hai ye nahin talti hai tal ke Ada unki maza deti hai humko maza ata hai unko dil masal ke Wajoode shamma ko khatra hua hai ki khud aatash hua parwana jal ke Paheli ban ke wo ojhal hua hai kiye hain band dar sab usne hal ke Wafa ke phool tab samjho khilenge jo ayega koi kanton pe chal ke Wo kar dete hain namumkin ko mumkin meri aaghosh men aksar machal ke Nazar ke teer nazuk hain tumhare jabhi purlutf hain ye waar halke

Is tarah berukhi se to dekha na keejiye

Is tarah berukhi se to dekha na keejiye Nazuk hai aina ise toda na keejiye Ham aor karenge tarke mohabbat ka faisla Lillah aisi baat to socha na keejiye Karwat badal badal ke guzaari hai saari raat itna kisi ke sabr se khela na keejiye kaabu men jab wo aaye to suniye na uski baat is haal men kaha hua uska na keejiye Dil ko bahare husne mulaaqaat chahiye usko sunehre khwaab dikhaya na keejiye Naseh ko bhi  dikhaiye raahe najate gham Bhule se uski raah pe jaaya na kijiye Ham jaante hain aap ka har range aarzu Hamse to dil ki baat chipaaya na keejiye Maana ki iltijaon se hum maan jayenge Isse to jaan pe banti hai rootha na keejiye Mumkin ye ho ki jisko wafa aap kar saken Aisa to hum se koi bhi waada na keejiye Sunte hain intizaar hamara karenge aap Halkaan khud ko aap khudaara na keejiye makhsoos jab nigaah ata ki Irfu ko ab chodiye hataiye parda na keejiye

Tanha, kaata jaata hai,

Tanha, kaata jaata hai, Dard, na baNta jaata hai, Ghalti, hum se hoti hai, Bachcha daaNta jaata hai, Raaj.neeti me ab, ... Aksar, Thook ke Chaata jaata hai, Ek Suee Gum jaaye ager,  Kul Ghar, chaaNta jaata hai, GAANTH MIYAAn, JEEWAN JOOTA, JAB TAK GAANTHA .. JAATA HAI. !!!.

बता ग़म-ए-फ़िराक़ पेहले खूं से किस को तर करूं

तुम्हारे लिये Jaana बता ग़म-ए-फ़िराक़ पेहले खूं से किस को तर करूं फ़िगार अपना दिल करूं के चाक मैं जिगर करूं तुम्हारी कम तवज्जो मुझ से केह रही हैं बारहा तवील दास्तान को मैं अपनी मुख्तसर करूं अजब नहीं है कुछ मियां गुमान के ये दौर में ज़मीं की खाक गर कहे के आसमाँ को सर करूं सबा, दर-ए-हबीब को मेरा पयाम दे ज़रा के और कब तलक यहाँ मैं खुद को दरबदर करूं निहाँ निहाँ से नक़्श-ए-यार इंतिहा-ए-शौक़ में अयाँ अयाँ से लग रहे हैं जिस तरफ नज़र करूं इसी अमल और उलझनों में रेहता हूँ रवां दवां मैं उस नज़र के आगे कैसे खुद को मोतबर करूं

जो ठहर जाये तो आँखों में शरर जैसा है

Image
जो ठहर जाये तो आँखों में शरर जैसा है और जो टपके तो वही अश्क गुहर जैसा है पूछते क्या हो अंधेरो के मआनी उस से  जिसकी रातों का भी अंदाज़ सहर जैसा है  हूबहू ज़ीस्त की पुरखार रह-ए-गर्दिश का नक़्श हर एक तेरी राहगुज़र जैसा है  दिल के हर ज़ख्म सितारें हैं सितारों में कोई  ज़ख्म ऐसा भी है वाहिद जो क़मर जैसा है  आँधियाँ आई, गयी,अपनी जगह से न हिला  अज़्म मेरा किसी मज़बूत शजर जैसा है  अपने अंदर तो फ़रिश्तें सी सिफत रखता है पर बज़ाहिर वो कोई आम बशर जैसा है  वोही गिरदाब वोही मौज-ए-तलातुम 'अस्लम' तेवर-ए-दरिया किसी शोख नज़र जैसा है 

Mohabbat

Image
Jaana Need I say more? Mohabbat Tamashe kuch aise dikhaye mohabbat Tamasha nazar ko banaye mohabbat wo darte the maloom tha unko shayad  Hai nashtar kahin chubh na jaye mohabbat Khuda khush rahe, jisko ye aarzu hai kare wo amal bas baraye mohabbat jise sare aadaab aate hain iske laqab uska hai aashnai mohabbat ye hasil ho, sabko hai iski tamanna Sabhi mangte hain duaye mohabbat sare hashr jab hogi taqseeme nemat wahan dekhna intihaye mohabbat wo aazaad hain ranjo gham se jahan men Hai jinke saron par ridaye mohabbat Lagao usi husne kaamil se dil ko wahi hai mukammal adaye mohabbat Wo aazaad hain ranjo gham se jahan men Hai jinke saron par ridaye mohabbat Bahot khwahishen nafs ki shorishen hain Samajh isko aye mubtilaye mohabbat Isiko kehte hain sab dushmane jaan Haqeeqat men sab hain fidaye mohabbat

Tarahi Ghazal

Tarahi Ghazal, Aaj jo hai mujhmen kaife maikashi kaise kahun Aaj saaqi ne pilai aur na pee kaise kahun qatle dil hai ek taraf aur husne jalwa ek taraf dilkushi ko tum batao dilkashi kaise kahun usne is qisse ko apne tak hi rakhne ko kaha ab main uski aankh men kyon hai nami kaise kahun wasl ki shab zulfo rukh ka khel maanikhez hai isko tareeki kahun ya roshni ,kaise kahun Hosh tashreehe jamale yaar se udne lage aor uske baad kya halat hui kaise kahun Ishq main anjaam par kab kiski rehti hai nazar daimi hai ye khushi ya aarzi kaise kaise kahun wo chala jaye na keh dene se mujhko chod kar Razdaron se bhi lutfe aashqi kaise kahun Doston aadaabe qurbat ki saubat kya kahun Saath uske kaise guzri zindagi kaise kahun Tajrabe mujhko suhail usse nahin ache magar kar liya hai usne ye wada yunhi kaise kahun

Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai

Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai, Us husn-e-khud-pasand pe inkaar farz hai. Apni sifat pe aye lab-e-jaan-baksh naaz kar, Tujhper jo charasaziye beemar farz hai. Raushan hua isi se ye sara nizam-e-waqt, Suraj pe apne noor ka izhaar farz hai. Baate’n mohabbaton ki maza dengi Vasl mein, Is haal me to shokhiye guftaar farz hai. Takmeel-e-daastan-e-kharabiye dil to kar, Tujhper kayam-e-hashr dilaazaar farz hai. Jisne tujhe bahaar ka aaina kar diya, Tareef uski khoobiye gulzaar farz hai. Har simt usne jalwe bikhere hain dil-fareb, Ta’at shaoor-e-deedaye bedaar farz hai. Humne to saare farz wafa ke ada kiye, Kuch aap per bhi sochiye sarkaar farz hai. Uski nazar mein Kaaba-e-maqsood hai ‘Suhail’, Hum per nigah-e-yaar ka deedar farz hai.

Namuafiq hi raha sara zamana dil ka

Image
Namuafiq hi raha sara zamana dil ka Hum samajhte the ki asan hain lagana dil ka De ke bal zulfon ko itrate phira karte hain Unko aata hai bahot khoob phansana dil ka Ungliyan khoon se tar hogayen likhte likhte Namukammal hi raha phir bhi fasana dil ka Koi apna jo kabhi bholta hai ahde wafa Yaad kar lete hain pahlu se wo jaana dil ka Nazo andaaz ki shabnam teri ankhon se giri Teri chahat se khila hai gule rana dill ka Raas aye hai hamen uski nigahon ki faza Ban gaya ab to yahi aik thikaana dil ka Ek zara saqiye maikhana karambaar hua Qabile deed hai phir loot machana dil ka Sara faulad pighal jaye ga daanai ka Aatashe hijr se mushkil hai bachana dil ka Shauq ka had se guzarna nahin acha hota Toor-e-sina pe burahaal hua naa dil ka Mere lufzon se nahin usko mohabbat ka yaqeen Aur mumkin hi nahi saamne lana dil ka Marhaba usne kaha jazbaye betaab ke saath Aaiye aaiye mausam hai hai suhaana dil ka Aaj ulfat ke ajab rang u...

Alamaton ki kahani

Image
Alamaton ki kahani sunai thi usne, Qayamaton ki kahani sunai thi usne. Vo itna chahta tha mujhko bekhabar tha mai, Museebaton ki kahani sunai thi usne. Vo ho raha tha kisi doosre ka, phir na hua, Haqeeqaton ki kahani sunai thi usne. Jo usko logon ne samjhaya usne mana nahin, Naseehaton ki kahani sunai thi usne. kahan kahan se nikalna pada hai bach ke use Azeeyaton ki kahani sunai thi usne Tamam ishq ke dushman the uske charon taraf, Fazeehaton ki kahani sunai thi usne. nishato kaif ka saya tha uske chehre par masarraton ki kahani sunai thi usne Nazar me uski jo aaya tha mai, sabab ke liye, Nazakaton ki kahani sunai thi usne. Baleegh husn ki tafseer usne yun kar di, Malahaton ki kahani sunai thi usne. Chaman ka chand ka aur mera zikr usne kiya, Latafaton ki kahani sunai thi usne. ‘Irfan’ raat ko usne mujhe na sone diya, Mohabbaton ki kahani sunai thi usne.

Yahi hasrat chipi hai khwahishe deedaar ke peeche

Image
Yahi hasrat chipi hai khwahishe deedaar ke peeche Ki dekhen kaun hai rangeeniye  gulzaar ke peeche Sitamgar bewafa hai dushmane dil hai jafaparwar ye sab keh kar zamaana pad gaya hai yaar peeche Qayamat chal rahi hai ye bhi kya dilchusp manzar hai Nigaahe naaz tere fitnaye bedaar ke peeche. jidhar dekho usi jalwe pe hungama hai janon ka Faraze daar se aage faraze daar ke peeche wahan jo saamne hai bus usi ki baaryaabi hai Tadapti hai mohabbat husn ke darbaar ke peeche Wahi paata hai manzil aur usi ki kamyabi hai, Ki jo chalta hai apne sarwaro salaar ke peeche. "Nahin" ki jalwafarmai se usko sab ne pehchana Ki sau iqraar poshida hai ek inkaar ke peeche Irfan uske hi qabze men hai usko dekh le koi Jo rehta hai hamesha pardae asraar ke peeche

Ek bar fir aaj akeyla hoon main - By Bhoomi Pandey

Image
Ek bar fir aaj akeyla hoon main.. Apne hi apno me ek anjan chehra hoon main.. Kuch halchal si rehti hai mann me aksar.. Aaj na jane kyun, kuch thehera hoon main.. Uthla-sa ye jeevan mera.. Kehta hai aaj kuch gehra hoon main.. Kabhi jo jataya maine apnapan unse.. Wo kehte hain unpar chhaya pehera hoon main.. Kaash!! ke fir laut aaye bachpan mera.. Kehta hai wo daur ke "Sunehera hoon main".. Kya kuch paaya hai kabhi kisi ne yahan?? Aise hi kuch sawalaton ki khoj me fira hoon main.. Kehne ko to sath hain mere dost-o-habeeb yaron.. Fir bhi veeran registaan me tanha khada hoon main.. Khush-rangeeniyon me jane kaise beet-ti hai hayaat.. Aisa hi kuch kar guzarne ki chah me aaj phir chala hoon main..

Aisi lahrai teri zulfe dota aakhire shab

Image
Aisi lahrai teri zulfe dota aakhire shab, Sijda-e-shukr hawaon ne kiya aakhir-e-shab. Husn us shokh ka iss darja badha aakhire shab, Chand taron ne bhi dil thham liya aakhire shab. Usne iss tarah mujhe mast kiya aakhire shab, Jaame mai chheen liya tod diya aakhire shab. Fir vo aaya rukhe tabinda pe anwaar liye Thhak ke jab kaanp utha daste dua aakhire shab. Aa gaya ab to bahut rang pe mausam ka mizaj Tu bhi aye yaar koi fitna utha aakhire shab. Fir hasin beete hua lamho’n ka ehsaas jaga, Fir mujhe chhed meri neend uda aakhire shab. Awwale shab to bahut short ha hangama tha, Ab zara aai vahi narm sada aakhire shab. Vahi suraj bana aalam ke liye waqte saher, Vo jo shola mere pahlu se utha aakhire shab. Aisa manzar tha ki duniya taho bala thi meri, Hasil-e-deed thi vo laghzishe pa aakhire shab. Muskuraya vo mujhe dekh ke is tarah “Irfan” Aai kaliyon ke chatakne ki sada aakhire shab. All Pictures Subject to Copyri...

Aaye wo mere saamne aur deed hans pade

Image
Aaye wo mere saamne aur deed hans pade Mafhoom apna dekh ke tauhaaed hans pade Ilmo adab pe bolna aasaan nahin magar Wo bolte hain log ki tanqeed hand hans pade Ab tak to sirf chand hua hai bahare husn Ban aaftaab subha jaga eid hans pade Baton men uski sirf mohabbat se hai gurez Samjhe jo hum ki kya hai ye tamheed, hans pade Mere suroore wasl se hai aasman pe kaif Zohra kabhi hanse kabhi naheed hans pade Tehraye rasme ishq ko jaiz wo yun Irfan Uske har aik lufz pe taeed hans pade All pictures Copyright ELF Photography

Jalwe se tere, dil ko gulzaar karne wale

Image
Jalwe se tere, dil ko gulzaar karne wale Hairat men pad gaye hain deedaar karne wale Khushboo badan se jaari aankhon pe rang taari Lo aa gaye wo humko dildaar karne wale Kaise ise main samjhun kya khwaab kya haqiqat Khud ban gaye maseeha beemaar karne wale Socha tha ismen kitni jaanon ka khel hoga? Mansubaye mohabbat tayyaar karne wale Deevangi ko meri kuch aur wusaten de Aye nashshaye wafa se sarshaar karne wale Aye aaftaabe imaan tujh par fida dilo jaan Mere jahane dil ko bedaar karne wale kya ho gaya ki tujhko naame wafa ki rat hai Aye jaane bewafai inkaar karne wale Un par Irfan chaya teri wafa ka mausum Warna kahin wo hote iqraar karne wale All Images used are subject to copyright & Not Owned

Jo usse kheench taan kabhi thi kahan hai ab

Image
 Jo usse kheench taan kabhi thi kahan hai ab dil men ajab khalish hai jo wo mehraban hai ab Irfaane zaat apna mujhe us ne de diya Idrrak ki hadon pe yaqeenan ayan hai ab wo muskara diye hain to kaliya chitak gain charon taraf bahaar ka rangeen saman hai ab Baarish hai rehmaton ki wo hai sarbasar wafa dil bhi hawai khuld se jannat nishan hai ab sakit fazain hoti thin jab bolta tha wo kya aisa ho gaya ki wahi bezaban hai ab sairaab mujhko karne lagi hai nigahe lutf maujen subuk hain jiski wo dariya rawan hai ab aaya wo usne ishq ke sab haq ada kiye mere labon pe sirf yahi daastan hai ab uski rifaqato ne bade gul khilaye hain hum nazishe chaman hain ye humko guman hai ab rahe wafa men aati hain aisi bhi manzilen mere kamale shauq ka wo tarjuman hai ab wo sholaru kahin hai use sochta hoon main dil jal raha hai saari tamazat yahan hai ab iske liye to lufz nahin hain main kya kahun dushman tha jaan ka jo wahi pewa...

पहले मेरे पहलू में गिरफ्तार हुआ है

Image
Photography - ELF Photography पहले मेरे पहलू में गिरफ्तार हुआ है, हैरत नही फिर क्यों वो वफादार हुआ है. उस चेहरे पे आँखों से खिला देता हूँ मै फूल. वो चेहरा मुझे देख के गुलज़ार हुआ है. पहचान नहीं पता हूँ मै अपनी ही सूरत, आइना भी उसका ही तरफदार हुआ है. जन्नत की निगाहें मेरा मुह चूम रही हैं, अपना मुझे उस हुस्न में दीदार हुआ है. होश उड़ गए आगोश-ए-मोहब्बत में हमारे, इस तरह इलाजे दिल-ए-बीमार हुआ है. आँखों से इशारों से वफाओं से जफा से, वो क़त्ल मुझे करने को तैयार हुआ है. जो नींद का था वक़्त उसे भूल गया वो, सूरज उतर आया जो वो बेदार हुआ है. तुगयानिये दरिया-ए-मोहब्बत थी बहुत तेज़, इससे तो वही सिर्फ वही पार हुआ है. सब छोड़ के वो आ गया दुनिया में हमारी, ये हुस्न-ए -मोहब्बत का चमत्कार हुआ है।  नश्तर वो लगता है 'सुहैल' ऐसी अदा से, जो ज़ख्म है वो उसका तलबगार हुआ है. ------------------------------------------------------------------------------------------------------------ Tamashe teri mehfil men bahot aye yaar dekhe ...

Wo ankhon ankhon me

Image
Wo ankhon ankhon me baat karna  Wo baaton baaton me raat karna,  Hansi chupane ko lab k agay,  Haseen komal se hath karna,  Kabhi hasana  Kabhi rulana  Jo yad aon to laut ana..  ..Humain tumhari he justajo hai,  Tumhari chahat ki arzo hai,  Ye baat tum kabhi to samjho,  Hamari chup me bhi guftugo hai,  Samajh sako to humain batana  * HAMsafar*  * JO  * YAAD  * AON  * TO  * LAUT  * ANA .

Wafa K Zikar Mein udas

Image
Wafa K Zikar Mein udas Mujhy Guman Hua, Wo Dard Ishq, Wafaoon Ko Kho Chuka Ho Ga, Jo Mere Sath Mohabat Mein Hadd-E-Junun Tak Tha, Wo Khud Ko Waqt K Pani Se Dho Chuka Ho Ga, Meri Awaaz Ko Jo Saaz Kaha Karta Tha, Meri Aahon Ko Yaad Kar K So Chuka Ho Ga, Wo Mera Pyar, Mera  Chain-O-Qaraar, Jafa Ki Hadd Mein Zamany Ka Ho Chuka Ho Ga, Tum Us Ki Raah Na Daikho Wo Ghair Tha. Bhula Do Us Ko Wo Ghairon Ka Ho Chuka Ho Ga.