Some Expressions in words

These I feel are just excellent for they express me for you and I find them very relative and to the point, I am sure you will understand and the message conveyed........


Is ahad mein ilahi mohabbat ko kya hua
choda wafa ko unne muravvat ko kya hua
ummidvar vada-e-didar mar chale
aate hi aate yaron qayamat ko kya hua
bakshish ne mujh ko abr-e-karam ke kiya khijal
ae chashm-e-josh ashk-e-nadamat ko kya hua
jata hai yar teg bakaf gair ke taraf
ae kushta-e-sitam teri gairat ko kya hua


Ulti ho gain sab tadabiren, kuch na dawa ne kam kiya
dekha is bimari-e-dil ne aakhir kam tamam kiya
ahd-e-javani ro-ro kata, piri mein lin aankhen mund
yani raat bahot the jage subah hui aaram kiya


Ae jaana kya kahun tum se main ke kya hai ishq
jan ka rog hai, bala hai ishq
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain
kaheen banda kaheen khuda hai ishq
kon maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzoo ishq va mudda hai ishq
koyi khvahan nahi mohabbat ka
tu kahe jins-e-narawa hai ishq
meerji zard hote jate hain
kya kaheen tum ne ae jaana kiya hai ishq?


Na socha na samajha na sikha na jana
mujhe aa gaya khudbakhud dil lagana
zara dekh kar apna jalwa dikhana
simat kar yahin aa na jaye zamana
zuban par lagi hain wafaon ki muharen
khamoshi meri kah rahi hai fasana
gulon tak lagayi to aasan hai lekin
hai dushwar kanton se daman bachana
karo lakh tum matam-e-naujavani
par ‘lone’ ab nahi aayega woh zamana


Sher ke parde mein main ne gham sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut
vadi-o-kohasar mein rota hun dhade mar-mar
dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut
va nahi hota kisi se dil girifta ishq ka
zahira gam-gin use rahana khush aaya hai bahut


Tum nahi fitana-saz sach sahab
shahar pur-shor is gulam se hai
koi tujh sa bhi kash tujh ko mile
mudda hum ko intaqam se hai
sher mere hain sab khvas pasand
par mujhe guftagu aavam se hai
sahal hai ‘meer’ ka samajhana kya
har sukhan usaka ik maqam se hai


Yar bin talkh zindagani thi
dosti muddai-e-jani thi
sheb mein fayada ta’mmul ka
sochana tab tha hab javani thi
mere qisse se sab ke ninden gain
kuch ajab taur ke kahani thi
ku-e-qatil se bach ke nikala khizr
isi mein us ke zindagani thi
fitr par bhi tha ‘mir’ ke ik rang
kafani pahani to zafarani thi


Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun
ab do to jam khali hi do main nashe mein hun
mazur hun jo paon mere betarah pade
tum sar-garan to mujh se na ho main nashe mein hun
ya hathon hath lo mujhe jaise ke jam-e-may
ya thodi dur sath chalo main nashe mein hun


Tha mustear husn se usake jo nur tha
khurshid mein bhi us hi ka zarra-e-zahur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain
malum ab hua ki bahot main bhi dur tha
kal panv ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yak-sar wo istakhvan shikaston mein choor tha
kahane laga ke dekh ke chal reh be-khabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-gurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein ‘lone’
samajhe na hum to feham ka apne qasur tha


Sahar gah-e-id mein daur-e-subu tha
par apne jam mein tujh bin lahu tha
jahan pur hai fasane se hamare
dimag-e-ishq hum ko bhi kabhu tha
gul-o-aina kya khurshid-o-mah kya
jidhar dekha udhar tera hi ru tha


Rahi nagufta mere dil mein dastan meri
na is dayar mein samajha koi zaban meri
barang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanaha
khabar nahi hai tujhe aah karavan meri
usi se dur raha asl-e-mudda jo tha
gai ye umr-e-aziz aah rayagan meri
tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
diya dikhai mujhe to usi ka jalva “lone”
padi jahan mein ja kar nazar jahan meri


Mahar ke tujhase tavaqqo thi sitamagar nikala
mom samajahe the tere dil ko so paththar nikala
daag hun rashk-e-mohabbat se ke itna betab
kis ke taskin ke liye ghar se tu bahar nikala
jite jee aah tere kuche se koi na phira
jo sitamadida raha jake so mar kar nikala
dil ke aabadi ki is had hai kharabi ke na puch
jana jata hai ki is reh se lashkar nikala
ashk-e-tar, qatara-e-khun, lakht-e-jigar, para-e-dil
ek se ek adu aankh se bahatar nikala
hum ne jana tha likhega tu koi harf ae ‘meer’
par tera nama to ek shauq ka daftar nikala


Jo tu hi sanam hum se bezar hoga
to jina hamen apna dushawar hoga
gam-e-hijr rakhega betab dil ko
hamen kudhate-kudhate kuch aazar hoga
jo afrat-e-ulfat hai aisa to aashiq
koi din mein barason ka bimar hoga
uchatati mulaqat kab tak rahegi
kabhu to tah-e-dil se bhi yar hoga
tujhe dekh kar lag gaya dil na jana
ke is sangdil se hamen pyar hoga


Manind-e-shama majalis-e-shab ashkabar paya
al qissa ‘meer ko hum ne beikhtiyar paya
shahar-e-dil ek muddat ujada basa gamon mein
aakhir ujad dena usaka qarar paya
itna na dil se milate na dil ko kho ke rehte
jaisa kiya tha hum ne vaisa hi yar paya
kya aitabar yan ka phir us ko khvar dekha
jisne jahan mein aakar kuch aitabar paya
aahon ke shole jis jan uthe hain ‘meer’ se shab
van ja ke subah dekha musht-e-gubar paya


Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ke divar ka sar se mere saya na gaya
dil ke tain aatish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samane par hum se bujhaya na gaya
kya tunak hausla the dida-o-dil apne aah
ek dam raz mohabbat ka chupaya na gaya
dil jo didar ka qayel ke bahot bhuka tha
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya
shahar-e-dil aah ajab jaye thi par uske gaye
aisa ujada ki kisi tarah basaya na gaya


Idhar se abr uthakar jo gaya hai
hamari khak par bhi ro gaya hai
masaib aur the par dil ka jana
ajab ik saniha sa ho gaya hai
muqamir-khana-e-afaq wo hai
ke jo aaya hai yan kuch kho gaya hai
sarahane ‘lone’ ke aahista bolo
abhi tuk rote rote so gaya hai

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Male Machoism??? Crazy Crap

8 Indian spices that prevent cancer